Tuesday, June 23, 2009

Maja hi kuch aur hai

The poem (kavita) is for all college goer.The title "maja hi kuch aur hai", i have taken it from somewhere else but the contents are mine and are original. If you read it by heart not by mind then you will find it intresting.

Here it goes.............

Orkut ya chatting me short form use karne ka,
Gtalk me upper neeche scroll karke doosron ka status message padhne ka,
Nayi sim lekar dosto ko miss call karne ka,
Aur dost ki girlfriend ko dekh kar usse hi karne ka, maja hi kuch aur hai !!

Exam ke time me movie dekhane ka,
Har exam ke baad sharma dhaba jane ka,
7 me se 3 module chhodkar exam dene jane ka,
Aur exam me acche marks na aane par teacher ko kosne ka, maja hi kuch aur hai !!

8 baje ki class me hamesha late aane ka,
50 minute ki class me 45 minute sone ka,
Class me teacher ko bewakoof banane ka,
Aur teacher ke question poonchane par sir neecha karke muskurane ka, maja hi kuch aur hai !!

Hamesha doosron ki girlfriend ke baare me baat karne ka,
Apne dost ko girlfriend banane ke liye uksaane ka,
Agar nahi bani to use dealing dene ka,
Aur agar ban gayi to usse treat lene ka, maja hi kuch aur hai !!

Train me doosron (did u get it) ke saamne novel ya laptop kholne ka,
Chalti train se bahar jhankhne ka,
Koi doosra jhakhe to use mana karne ka,
Aur station aane ke baad chart me us coach ki saari seats ko check karne ka(sayad koi mil jaye), maja hi kuch aur hai !!

4 comments:

vish4rafa said...

very nice ;)...interestin...

Anil Anuragi said...

thanx for realizing my work. :)

Unknown said...

nice poem

Anil Anuragi said...

@Noopur: Thanx :)